kaise pitam ke nayan ram hua karte the
kaise pītam ke nayan raam huā karte the
vo jo rādhā thī to ham shaam huā karte the
dil ke sab zaḳhm tire naam huā karte the
vo yūñhī shahr meñ badnām huā karte the
jin charāġhoñ pe haiñ ab tohmateñ be-nūrī kī
vo havāoñ meñ sar-e-bām huā karte the
aao phir hijr-e-musalsal kī rutoñ meñ DhūñDeñ
ka.aba-e-dil meñ jo asnām huā karte the
mausam-e-qaht meñ āñkhoñ se chhalak jaate haiñ
chand qatre jo tah-e-jām huā karte the
ab to guzre hue lamhe bhī bhulā baiThe haiñ
varna ham sāhib-e-ilhām huā karte the
ab jo āġhāz-e-mohabbat se gurezāñ haiñ vo log
be-niyāz-e-ġham-e-anjām huā karte the
ajnabī ban ke jo milte haiñ 'razī' rāhoñ meñ
un ko ham se bhī kabhī kaam huā karte the
kaise pitam ke nayan ram hua karte the
wo jo radha thi to hum sham hua karte the
dil ke sab zaKHm tere nam hua karte the
wo yunhi shahr mein badnam hua karte the
jin charaghon pe hain ab tohmaten be-nuri ki
wo hawaon mein sar-e-baam hua karte the
aao phir hijr-e-musalsal ki ruton mein DhunDen
kaba-e-dil mein jo asnam hua karte the
mausam-e-qaht mein aankhon se chhalak jate hain
chand qatre jo tah-e-jam hua karte the
ab to guzre hue lamhe bhi bhula baiThe hain
warna hum sahib-e-ilham hua karte the
ab jo aaghaz-e-mohabbat se gurezan hain wo log
be-niyaz-e-gham-e-anjam hua karte the
ajnabi ban ke jo milte hain 'razi' rahon mein
un ko hum se bhi kabhi kaam hua karte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.