kaise safar pe mujhko meri zat le gai
kaise safar pe mujh ko mirī zaat le ga.ī
chehre se noch noch ke jazbāt le ga.ī
apne hī intizār meñ pathrā ga.ī hai aañkh
jaane kahāñ pe ham ko siyah raat le ga.ī
shīshe se TuuT TuuT ke bikhregī zindagī
ab ke sunahre ḳhvāb agar saath le ga.ī
aa.ī jo tez dhuup añdheroñ ko kaaT kar
āñkhoñ se sab kī nuur ke sauġhāt le ga.ī
peḌoñ se Daal Daal ke rishte ko dekh kar
phūloñ ke sāth-sāth havā paat le ga.ī
kaise safar pe mujh ko meri zat le gai
chehre se noch noch ke jazbaat le gai
apne hi intizar mein pathra gai hai aankh
jaane kahan pe hum ko siyah raat le gai
shishe se TuT TuT ke bikhregi zindagi
ab ke sunahre KHwab agar sath le gai
aai jo tez dhup andheron ko kaT kar
aankhon se sab ki nur ke saughat le gai
peDon se Dal Dal ke rishte ko dekh kar
phulon ke sath-sath hawa pat le gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.