kaise sitam ek jurm-e-mohabbat mein is dil par TuT gae
kaise sitam ik jurm-e-mohabbat meñ is dil par TuuT ga.e
kitne nashtar paar hue aur kitne nashtar TuuT ga.e
ham ne maanā TūTnā dil kā lamhe bhar kī baat sahī
lekin is lamhe meñ ham par lākhoñ mahshar TuuT ga.e
pyaar kā rishta jab na rahā to saarī umangeñ ḳhaak huiiñ
kāñch ke bartan haath se chhūTe farsh pe gir kar TuuT ga.e
dard kī daulat ḳhuun ke aañsū palkoñ tak to pahuñche the
is se aage luT ga.ī daulat saare gauhar TuuT ga.e
jab tak thī parvāz kī tāqat uḌte hue Dar lagtā thā
jis dam himmat dil meñ aa.ī donoñ shahpar TuuT ga.e
kaise sitam ek jurm-e-mohabbat mein is dil par TuT gae
kitne nashtar par hue aur kitne nashtar TuT gae
hum ne mana TuTna dil ka lamhe bhar ki baat sahi
lekin is lamhe mein hum par lakhon mahshar TuT gae
pyar ka rishta jab na raha to sari umangen KHak huin
kanch ke bartan hath se chhuTe farsh pe gir kar TuT gae
dard ki daulat KHun ke aansu palkon tak to pahunche the
is se aage luT gai daulat sare gauhar TuT gae
jab tak thi parwaz ki taqat uDte hue Dar lagta tha
jis dam himmat dil mein aai donon shahpar TuT gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.