Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaise tumhein bataun mere sath kya hua

Nawaz Qamar

kaise tumhein bataun mere sath kya hua

Nawaz Qamar

MORE BYNawaz Qamar

    kaise tumheñ batā.ūñ mire saath kyā huā

    honā nahīñ thā jis ko vahī hādisa huā

    pahle vo kah rahā thā mirī zindagī haiñ aap

    allāh jaane baa'd meñ kyā mas.ala huā

    mumkin hai merā haal bhī ab ke durust ho

    path-jhaḌ ke baa'd jaise ye paudā harā huā

    ham ne kabhī kisī burā to nahīñ kiyā

    phir kyoñ hamāre saath musalsal burā huā

    mujh ko dikhā vo raah jo manzil ko sake

    maulā ki jaise dariyā meñ bhī rāsta huā

    apne tamām ḳhvāboñ ḳhāka sameT kar

    maiñ sochtā huuñ kaise huā aur kyā huā

    ai yaar sun ki ziist bahut muḳhtasar hai

    bas ik dafa kah de ki le maiñ tirā huā

    zāhir hai koī aa.egā ban ke sharīk-e-zīst

    us se kahūñgā jo bhī huā hai burā huā

    ik baar maiñ ne sochā thā dekhūñ ḳhud apne aib

    har fard phir 'navāz' mujhe aa.ina huā

    kaise tumhein bataun mere sath kya hua

    hona nahin tha jis ko wahi hadisa hua

    pahle wo kah raha tha meri zindagi hain aap

    allah jaane ba'd mein kya masala hua

    mumkin hai mera haal bhi ab ke durust ho

    path-jhaD ke ba'd jaise ye pauda hara hua

    hum ne kabhi kisi ka bura to nahin kiya

    phir kyon hamare sath musalsal bura hua

    mujh ko dikha wo rah jo manzil ko ja sake

    maula ki jaise dariya mein bhi rasta hua

    apne tamam KHwabon ka KHaka sameT kar

    main sochta hun kaise hua aur kya hua

    ai yar sun ki zist bahut muKHtasar si hai

    bas ek dafa hi kah de ki le main tera hua

    zahir hai koi aaega ban ke sharik-e-zist

    us se kahunga jo bhi hua hai bura hua

    ek bar main ne socha tha dekhun KHud apne aib

    har fard phir 'nawaz' mujhe aaina hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now