kaisi aandhi ye chali hosh uDe jate hain
kaisī āñdhī ye chalī hosh uḌe jaate haiñ
ek ik kar ke diye saare bujhe jaate haiñ
zabt-e-girya ne mirī aañkh ko rone na diyā
ashk kāñToñ kī tarah dil meñ chubhe jaate haiñ
vaqt kī ret pe qadmoñ ke nishāñ haiñ baaqī
bhūlne vaale tujhe yaad kiye jaate haiñ
maiñ ne sapnoñ se sajā rakkhī thiiñ āñkheñ apnī
itnā royā huuñ ki ab ḳhvāb bahe jaate haiñ
jin ke dam se the zamāne meñ ujāle 'bāsit'
vahī mahtāb tah-e-ḳhāk hue jaate haiñ
kaisi aandhi ye chali hosh uDe jate hain
ek ek kar ke diye sare bujhe jate hain
zabt-e-girya ne meri aankh ko rone na diya
ashk kanTon ki tarah dil mein chubhe jate hain
waqt ki ret pe qadmon ke nishan hain baqi
bhulne wale tujhe yaad kiye jate hain
main ne sapnon se saja rakkhi thin aankhen apni
itna roya hun ki ab KHwab bahe jate hain
jin ke dam se the zamane mein ujale 'basit'
wahi mahtab tah-e-KHak hue jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.