kaisi aashufta-sari hai ab ke
kaisī āshufta-sarī hai ab ke
kuchh ajab be-ḳhabarī hai ab ke
dekh kar ahl-e-gulistāñ kā chalan
jaan hāthoñ meñ dharī hai ab ke
shahr kā amn-o-sukūñ hai anqā
kaisī ye fitnagarī hai ab ke
mausam-e-fasl-e-ḳhizāñ hai phir bhī
shāḳh-e-dil apnī harī hai ab ke
kor chashmoñ ko ḳhudā hī samjhe
da.avā-e-dīda-varī hai ab ke
Dar yahī hai ki kahīñ TuuT na jaa.e
shāḳh phūloñ se bharī hai ab ke
pichhle sāloñ se ziyāda ai 'shauq'
ranj-e-be-bāl-o-parī hai ab ke
kaisi aashufta-sari hai ab ke
kuchh ajab be-KHabari hai ab ke
dekh kar ahl-e-gulistan ka chalan
jaan hathon mein dhari hai ab ke
shahr ka amn-o-sukun hai anqa
kaisi ye fitnagari hai ab ke
mausam-e-fasl-e-KHizan hai phir bhi
shaKH-e-dil apni hari hai ab ke
kor chashmon ko KHuda hi samjhe
dawa-e-dida-wari hai ab ke
Dar yahi hai ki kahin TuT na jae
shaKH phulon se bhari hai ab ke
pichhle salon se ziyaada ai 'shauq'
ranj-e-be-baal-o-pari hai ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.