kaisi bulbul kahan ke parwane
kaisī bulbul kahāñ ke parvāne
tum salāmat hazār dīvāne
haa.e kyā kyā banā.e duniyā ne
ik mohabbat ke laakh afsāne
terī barham nigāh ke sadqe
aañkh badlī huī hai duniyā ne
ham ne dekhī hai zindagī kī bahār
ham se pūchho ḳhizāñ ke afsāne
is taġhāful pe un ko kyā kahiye
mere ho kar mujhe na pahchāne
saarī raunaq thī sham-e-mahfil tak
ab na saaqī na mai na parvāne
laakh daanā sahī magar vaa.iz
mansab-e-āshiqī ko kyā jaane
jin meñ āzādī-e-junūñ hī na ho
mere qābil nahīñ vo vīrāne
itnī bojhal hai 'zabt' zulf-e-hayāt
ādamiyyat ke rah ga.e shāne
kaisi bulbul kahan ke parwane
tum salamat hazar diwane
hae kya kya banae duniya ne
ek mohabbat ke lakh afsane
teri barham nigah ke sadqe
aankh badli hui hai duniya ne
hum ne dekhi hai zindagi ki bahaar
hum se puchho KHizan ke afsane
is taghaful pe un ko kya kahiye
mere ho kar mujhe na pahchane
sari raunaq thi sham-e-mahfil tak
ab na saqi na mai na parwane
lakh dana sahi magar waiz
mansab-e-ashiqi ko kya jaane
jin mein aazadi-e-junun hi na ho
mere qabil nahin wo virane
itni bojhal hai 'zabt' zulf-e-hayat
aadamiyyat ke rah gae shane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.