kaisi diwangi kaisa aawara-pan baT gai raushni anjuman-anjuman
kaisi diwangi kaisa aawara-pan baT gai raushni anjuman-anjuman
Jawed Ulfat
MORE BYJawed Ulfat
kaisī dīvāngī kaisā āvāra-pan baT ga.ī raushnī anjuman-anjuman
raqs kartī rahī tīrgī mere ghar sham.a jaltī rahī anjuman-anjuman
ho pareshān tere nagar aa gayā har galī ghūmtā tere ghar aa gayā
chāñd jaltā rahā tere dar par khaḌā chāñdnī gir paḌī anjuman-anjuman
rah ga.ī kāTtī mujh ko tanhā.iyāñ mahfil-e-rang haiñ sirf parchhā.iyāñ
bin tire bekalī bin tire bekasī kaisī bechārgī anjuman-anjuman
TūTtā phūTtā dard kā maarā dil phir bhī siine meñ hai jaise sayyāra dil
ham mile kho ga.e ham judā ho ga.e kho ga.ī har ḳhushī anjuman-anjuman
do nigāhoñ ke ye jaam bharte rahe jaam par jaam ke daur chalte rahe
ro.e kitnā magar pyaas itnī baḌhī aisī thī tishnagī anjuman-anjuman
harf kāġhaz ke panne palaTte rahe sher aa aa ke lab pe bhaTakte rahe
ishq kahtā gayā dard likhtā gayā fikr-o-fan shā.irī anjuman-anjuman
jiite jī haal jo be-davā kā huā haal 'ulfat' vo terī duā kā huā
maut phirtī rahī ham ko sar par liye zindagī-zindagī anjuman-anjuman
kaisi diwangi kaisa aawara-pan baT gai raushni anjuman-anjuman
raqs karti rahi tirgi mere ghar shama jalti rahi anjuman-anjuman
ho pareshan tere nagar aa gaya har gali ghumta tere ghar aa gaya
chand jalta raha tere dar par khaDa chandni gir paDi anjuman-anjuman
rah gai kaTti mujh ko tanhaiyan mahfil-e-rang hain sirf parchhaiyan
bin tere bekali bin tere bekasi kaisi bechaargi anjuman-anjuman
TuTta phuTta dard ka mara dil phir bhi sine mein hai jaise sayyara dil
hum mile kho gae hum juda ho gae kho gai har KHushi anjuman-anjuman
do nigahon ke ye jam bharte rahe jam par jam ke daur chalte rahe
roe kitna magar pyas itni baDhi aisi thi tishnagi anjuman-anjuman
harf kaghaz ke panne palaTte rahe sher aa aa ke lab pe bhaTakte rahe
ishq kahta gaya dard likhta gaya fikr-o-fan shairi anjuman-anjuman
jite ji haal jo be-dawa ka hua haal 'ulfat' wo teri dua ka hua
maut phirti rahi hum ko sar par liye zindagi-zindagi anjuman-anjuman
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.