kaisi farhat dilon pe chhai hai
kaisī farhat diloñ pe chhā.ī hai
aap aa.e bahār aa.ī hai
har-nafas par charāġh hai raushan
maiñ ne ghar meñ murād paa.ī hai
tere hote aur aisī majbūrī
mere allah terī duhā.ī hai
naġhma-hā-e-dil-e-shikasta par
ādmiyyat bhī thartharā.ī hai
kahīñ martā hai aap kā banda
dushmanoñ ne ḳhabar uḌaa.ī hai
chuum luuñ kyoñ na apnī sūrat ko
kis ke hāthoñ ne ye banā.ī hai
dam-e-āḳhir 'qadīr' vo aa.e
kyā ḳhizāñ meñ bahār aa.ī hai
kaisi farhat dilon pe chhai hai
aap aae bahaar aai hai
har-nafas par charagh hai raushan
main ne ghar mein murad pai hai
tere hote aur aisi majburi
mere allah teri duhai hai
naghma-ha-e-dil-e-shikasta par
aadmiyyat bhi thartharai hai
kahin marta hai aap ka banda
dushmanon ne KHabar uDai hai
chum lun kyon na apni surat ko
kis ke hathon ne ye banai hai
dam-e-aKHir 'qadir' wo aae
kya KHizan mein bahaar aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.