kaisi halchal mein guzari maine
kaisī halchal meñ guzārī maiñ ne
phir bhī kī yaad tumhārī maiñ ne
terī ulfat meñ subuk-gām rahā
ḳhuub kī dasht-ġhubārī maiñ ne
saare ahbāb falak-raft hue
chhoḌ dī kaisī savārī maiñ ne
ban ga.e us ke fasāne kitne
sang uThāyā thā jo bhārī maiñ ne
kis kī yādoñ kā taḳhayyul mahkā
kis kī tasvīr utārī maiñ ne
koī batlā.e sar-e-manzil-e-shauq
rok lī kis kī savārī maiñ ne
tirī zulfoñ kā parastār huuñ maiñ
chhoḌ dī bād-e-bahārī maiñ ne
sang-e-ehsās ziyā-fām thā par
raushnī us kī nikhārī maiñ ne
mai-e-irfāñ thī ġhazal meñ 'ajmal'
ik parī us meñ utārī maiñ ne
kaisi halchal mein guzari main ne
phir bhi ki yaad tumhaari main ne
teri ulfat mein subuk-gam raha
KHub ki dasht-ghubari main ne
sare ahbab falak-raft hue
chhoD di kaisi sawari main ne
ban gae us ke fasane kitne
sang uThaya tha jo bhaari main ne
kis ki yaadon ka taKHayyul mahka
kis ki taswir utari main ne
koi batlae sar-e-manzil-e-shauq
rok li kis ki sawari main ne
teri zulfon ka parastar hun main
chhoD di baad-e-bahaari main ne
sang-e-ehsas ziya-fam tha par
raushni us ki nikhaari main ne
mai-e-irfan thi ghazal mein 'ajmal'
ek pari us mein utari main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.