kaisi uljhan hai sochta kya hai
kaisī uljhan hai sochtā kyā hai
saaf kah de ki mudda'ā kyā hai
hasrateñ yaas zaḳhm mahrūmī
aur is dil meñ ab bachā kyā hai
har-ghaḌī be-kalī-o-be-zārī
ai mire dil tujhe huā kyā hai
chāhtī kyā hai kuchh to vāzeh ho
zindagī terā mudda'ā kyā hai
dil karūñ nazr yā ki jaan nisār
bol ai dost chāhtā kyā hai
qatl-o-ḳhūñ ranjisheñ fareb daġhā
aah ab is ke mā-sivā kyā hai
kyā batā.eñge aglī nasl ko ham
pyaar kyā chiiz hai vafā kyā hai
vo tabāhī pe merī hañs ke 'salīm'
bas yahī kah sake huā kyā hai
kaisi uljhan hai sochta kya hai
saf kah de ki mudda'a kya hai
hasraten yas zaKHm mahrumi
aur is dil mein ab bacha kya hai
har-ghaDi be-kali-o-be-zari
ai mere dil tujhe hua kya hai
chahti kya hai kuchh to wazeh ho
zindagi tera mudda'a kya hai
dil karun nazr ya ki jaan nisar
bol ai dost chahta kya hai
qatl-o-KHun ranjishen fareb dagha
aah ab is ke ma-siwa kya hai
kya bataenge agli nasl ko hum
pyar kya chiz hai wafa kya hai
wo tabahi pe meri hans ke 'salim'
bas yahi kah sake hua kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.