kaj-kulahi ko yaqin tha ghuT ke mar jaenge log
Interesting Fact
(Upon hearing the news of bombing from a helicopter in a small village of Sindh)
kaj-kulāhī ko yaqīñ thā ghuT ke mar jā.eñge log
ham ye kahte the ki saḌkoñ par nikal ā.eñge log
zulmatoñ kī teġh ne kaaTā ujāle kā galā
be-hisī kā daur jab socheñge pachhtā.eñge log
aaj apnī zaat se sach bolnā bhī jurm hai
kal sar-e-mahfil hamārī baat dohrā.eñge log
kaT ga.ī zanjīr-e-zulmat sub.h ke āsār haiñ
teġh kī jhankār par ab raqs farmā.eñge log
sar jhukā kar zulm sahnā bhī sarāsar zulm hai
karbalā taaza lahū tārīḳh dohrā.eñge log
shahr ke vīrān sannāTe se ghabrā.e hue
dasht kī ābādiyoñ ko DhūñDte ā.eñge log
kaj-kulahi ko yaqin tha ghuT ke mar jaenge log
hum ye kahte the ki saDkon par nikal aaenge log
zulmaton ki tegh ne kaTa ujale ka gala
be-hisi ka daur jab sochenge pachhtaenge log
aaj apni zat se sach bolna bhi jurm hai
kal sar-e-mahfil hamari baat dohraenge log
kaT gai zanjir-e-zulmat subh ke aasar hain
tegh ki jhankar par ab raqs farmaenge log
sar jhuka kar zulm sahna bhi sarasar zulm hai
karbala taza lahu tariKH dohraenge log
shahr ke viran sannaTe se ghabrae hue
dasht ki aabaadiyon ko DhunDte aaenge log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.