kal aalam-e-KHayal mein dekha hawa ka raqs
kal ālam-e-ḳhayāl meñ dekhā havā kā raqs
barg-e-chaman ke saaz pe bād-e-sabā kā raqs
har samt bāzgasht mirī gūñjtī rahī
kohsār dekhte rahe merī sadā kā raqs
sun dhaḌkanoñ kī taal pe hotā hai kis tarah
ehsās ke qafas meñ dil-e-be-navā kā raqs
qarnoñ pe hai muhīt ġham-e-zāt-o-kā.enāt
sadiyoñ se ho rahā hai ye harf-e-vafā kā raqs
dil meñ dhamāl Dāltī haiñ aise ḳhvāhisheñ
jaise dahaktī aag meñ mauj-e-havā kā raqs
shāyad kabhī ḳhudā ko pasand aa nahīñ sakā
terī duā kā raqs na merī duā kā raqs
kal aalam-e-KHayal mein dekha hawa ka raqs
barg-e-chaman ke saz pe baad-e-saba ka raqs
har samt bazgasht meri gunjti rahi
kohsar dekhte rahe meri sada ka raqs
sun dhaDkanon ki tal pe hota hai kis tarah
ehsas ke qafas mein dil-e-be-nawa ka raqs
qarnon pe hai muhit gham-e-zat-o-kaenat
sadiyon se ho raha hai ye harf-e-wafa ka raqs
dil mein dhamal Dalti hain aise KHwahishen
jaise dahakti aag mein mauj-e-hawa ka raqs
shayad kabhi KHuda ko pasand aa nahin saka
teri dua ka raqs na meri dua ka raqs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.