kal bichhaDte hue zabt ka marhala is qadar talKH tha kya bataun aKHi
kal bichhaDte hue zabt ka marhala is qadar talKH tha kya bataun aKHi
Umr Daraz Hashir
MORE BYUmr Daraz Hashir
kal bichhaḌte hue zabt kā marhala is qadar talḳh thā kyā batā.ūñ aḳhī
merī ḳhāmoshiyoñ kī chaTānoñ ke andar thī merī sadā kyā batā.ūñ aḳhī
tū abhī raushnī aur añdhere meñ kyā farq hai is se bilkul bhī vāqif nahīñ
ek bujhte diye kī jo majbūr kirnoñ ne mujh se kahā kyā batā.ūñ aḳhī
vaqt ke canvas par banī is barahna sī be-rañg tasvīr meñ dekh lo
un dinoñ is ḳhayāloñ ke jangal meñ mere sivā kaun thā kyā batā.ūñ aḳhī
shā.erī aur mohabbat ke sab zāviye aise logoñ kī āñkhoñ pe khulte nahīñ
umr-bhar jin ke hisse meñ aatā nahīñ lams kā zā.iqa kyā batā.ūñ aḳhī
ḳhvāb peḌoñ kī sūrat haiñ aur ye kabhī ḳhushk-o-banjar zamīnoñ meñ ugte nahīñ
is liye niiñd se bhāgne vāloñ ko ḳhvāb kā falsafa kyā batā.ūñ aḳhī
kal bichhaDte hue zabt ka marhala is qadar talKH tha kya bataun aKHi
meri KHamoshiyon ki chaTanon ke andar thi meri sada kya bataun aKHi
tu abhi raushni aur andhere mein kya farq hai is se bilkul bhi waqif nahin
ek bujhte diye ki jo majbur kirnon ne mujh se kaha kya bataun aKHi
waqt ke canwas par bani is barahna si be-rang taswir mein dekh lo
un dinon is KHayalon ke jangal mein mere siwa kaun tha kya bataun aKHi
shaeri aur mohabbat ke sab zawiye aise logon ki aankhon pe khulte nahin
umr-bhar jin ke hisse mein aata nahin lams ka zaiqa kya bataun aKHi
KHwab peDon ki surat hain aur ye kabhi KHushk-o-banjar zaminon mein ugte nahin
is liye nind se bhagne walon ko KHwab ka falsafa kya bataun aKHi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.