kal jo duniya rahi wo aaj nahin
kal jo duniyā rahī vo aaj nahīñ
jis se miliye vo ham-mizāj nahīñ
apne zāhir se apne bātin tak
aa.ina dil meñ koī aaj nahīñ
apnī chaukhaT se chīḳhtī dekhūñ
muflisī ko zarā bhī laaj nahīñ
mere andar ka.ī charāġh jale
ḳhud-farozī to hai ḳhirāj nahīñ
raaz fitrat ke chār-sū haiñ magar
sochne kā yahāñ rivāj nahīñ
saath apne hai ilm kā lashkar
laakh duniyā ke taḳht-o-tāj nahīñ
kal jo duniya rahi wo aaj nahin
jis se miliye wo ham-mizaj nahin
apne zahir se apne baatin tak
aaina dil mein koi aaj nahin
apni chaukhaT se chiKHti dekhun
muflisi ko zara bhi laj nahin
mere andar kai charagh jale
KHud-farozi to hai KHiraj nahin
raaz fitrat ke chaar-su hain magar
sochne ka yahan riwaj nahin
sath apne hai ilm ka lashkar
lakh duniya ke taKHt-o-taj nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.