kal jo ghaflat mein paDe the aaj wo hushiyar hain
kal jo ghaflat mein paDe the aaj wo hushiyar hain
Hakeem Zakir Tonki
MORE BYHakeem Zakir Tonki
kal jo ġhaflat meñ paḌe the aaj vo hushiyār haiñ
ek ham hī so rahe haiñ aur sab bedār haiñ
jā.eza leñ vaqt kā māhaul pe rakkheñ nazar
fikr-o-fan se kaam leñ ham aaj ke fankār haiñ
chand sikkoñ ke evaz jo bech dete haiñ zamīr
aise hī kam-zarf duniyā meñ zalīl-o-ḳhvār haiñ
ye to mustaqbil batā.egā tumheñ ahl-e-chaman
tum chaman-zāroñ ke vāris ho ki ham haqdār haiñ
kaam le hosh-o-ḳhirad se ai amīr-e-kārvāñ
har qadam par rāhzan haiñ manzileñ dushvār haiñ
vaqt ke jhūTe ḳhudā ham ko jhukā sakte nahīñ
azm-e-rāsiḳh kī qasam ham bhī bahut ḳhud.dār haiñ
tum ne 'zākir' us se jab tark-e-ta.alluq kar liyā
ye shikāyat bhī abas hai ye gile bekār haiñ
kal jo ghaflat mein paDe the aaj wo hushiyar hain
ek hum hi so rahe hain aur sab bedar hain
jaeza len waqt ka mahaul pe rakkhen nazar
fikr-o-fan se kaam len hum aaj ke fankar hain
chand sikkon ke ewaz jo bech dete hain zamir
aise hi kam-zarf duniya mein zalil-o-KHwar hain
ye to mustaqbil bataega tumhein ahl-e-chaman
tum chaman-zaron ke waris ho ki hum haqdar hain
kaam le hosh-o-KHirad se ai amir-e-karwan
har qadam par rahzan hain manzilen dushwar hain
waqt ke jhuTe KHuda hum ko jhuka sakte nahin
azm-e-rasiKH ki qasam hum bhi bahut KHuddar hain
tum ne 'zakir' us se jab tark-e-talluq kar liya
ye shikayat bhi abas hai ye gile bekar hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.