kal KHud mujhe ruswa sar-e-bazar karoge
kal ḳhud mujhe rusvā sar-e-bāzār karoge
tum sub.h se pahle mirā inkār karoge
ḳhair ab to hue masḳh rivāyat ke khare daam
kyā kal bhī yahī jhuuT kā byopār karoge
tūfān to umDā chalā aatā hai saroñ par
phir shahr ko kis lamhe ḳhabar-dār karoge
āḳhir ko to miTTī haiñ ye miTTī ke gharauñde
tā'mīr kahāñ tak dar-o-dīvār karoge
loge na ḳhabar dil ke ḳharābe kī magar haañ
zebā.ish-e-har-kūcha-o-bāzār karoge
maiñ ab to khaTaktā huuñ magar duur nahīñ vaqt
bāteñ mirī parkhoge mujhe pyaar karoge
hai apne liye shahr 'bashīr' apnā yahī dasht
kyā jā ke bhalā shahr mire yaar karoge
kal KHud mujhe ruswa sar-e-bazar karoge
tum subh se pahle mera inkar karoge
KHair ab to hue masKH riwayat ke khare dam
kya kal bhi yahi jhuT ka byopar karoge
tufan to umDa chala aata hai saron par
phir shahr ko kis lamhe KHabar-dar karoge
aaKHir ko to miTTi hain ye miTTi ke gharaunde
ta'mir kahan tak dar-o-diwar karoge
loge na KHabar dil ke KHarabe ki magar han
zebaish-e-har-kucha-o-bazar karoge
main ab to khaTakta hun magar dur nahin waqt
baaten meri parkhoge mujhe pyar karoge
hai apne liye shahr 'bashir' apna yahi dasht
kya ja ke bhala shahr mere yar karoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.