kal mere sath ek ajab hadisa hua
kal mere saath ek 'ajab hādisa huā
aage nikal gayā vo mujhe dekhtā huā
tum log 'ishq kar ke ḳhasāre meñ paḌ ga.e
mujh ko to yuuñ samajhiye baḌā fā.eda huā
us ke jamāl kī use ḳhush-fahmiyāñ nasīb
lekin us aa.ine ko ḳhudā jaane kyā huā
sunñe kā hausla hai to maġhrūr-e-husn sun
sūraj ko dekh lenā kabhī Dūbtā huā
til til maiñ roz martā rahā jis kī yaad meñ
us ne to ek din bhī na pūchhā ki kyā huā
kal mere sath ek 'ajab hadisa hua
aage nikal gaya wo mujhe dekhta hua
tum log 'ishq kar ke KHasare mein paD gae
mujh ko to yun samajhiye baDa faeda hua
us ke jamal ki use KHush-fahmiyan nasib
lekin us aaine ko KHuda jaane kya hua
sunne ka hausla hai to maghrur-e-husn sun
suraj ko dekh lena kabhi Dubta hua
til til main roz marta raha jis ki yaad mein
us ne to ek din bhi na puchha ki kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.