kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha
kal nashāt-e-qurb se mausam bahār-andāza thā
kuchh havā bhī narm thī kuchh rañg-e-gul bhī taaza thā
thak ke sañg-e-rāh par baiThe to uTThe hī nahīñ
had se baḌh kar tez chalne kā yahī ḳhamyāza thā
ā.īna donoñ ke aage rakh diyā taqdīr ne
mere chehre par lahū thā rū-e-gul par ġhāza thā
mujh ko mallāhoñ ke gītoñ se mohabbat hai magar
raat sāhil par havā kā shor be-andāza thā
ab to kuchh dukh bhī nahīñ hai daaġh bhī jaatā rahā
kal isī dil meñ yahīñ ik zaḳhm thā aur taaza thā
go yaqīnī to nahīñ the mere taḳhmīne magar
jo tujhe pesh aayā us kā kuchh mujhe andāza thā
mere aurāq-e-pareshāñ dekhne vaale kabhī
maiñ kitāb-e-ishq thā aur dil mirā shīrāza thā
aañkh meñ us kī chamak thī par havasnākī bhī thī
rañg us ke ruḳh pe thā lekin rahīn-e-ġhāza thā
josh-e-girya mere rone kā ye shor-e-bāz-gasht
kuchh na thā ik kūcha gard-e-sabr kā āvāza thā
jaane andar kyā huā maiñ shor sun kar ai 'salīm'
us jagah pahuñchā to dekhā band vo darvāza thā
kal nashat-e-qurb se mausam bahaar-andaza tha
kuchh hawa bhi narm thi kuchh rang-e-gul bhi taza tha
thak ke sang-e-rah par baiThe to uTThe hi nahin
had se baDh kar tez chalne ka yahi KHamyaza tha
aaina donon ke aage rakh diya taqdir ne
mere chehre par lahu tha ru-e-gul par ghaza tha
mujh ko mallahon ke giton se mohabbat hai magar
raat sahil par hawa ka shor be-andaza tha
ab to kuchh dukh bhi nahin hai dagh bhi jata raha
kal isi dil mein yahin ek zaKHm tha aur taza tha
go yaqini to nahin the mere taKHmine magar
jo tujhe pesh aaya us ka kuchh mujhe andaza tha
mere auraq-e-pareshan dekhne wale kabhi
main kitab-e-ishq tha aur dil mera shiraaza tha
aankh mein us ki chamak thi par hawasnaki bhi thi
rang us ke ruKH pe tha lekin rahin-e-ghaza tha
josh-e-girya mere rone ka ye shor-e-baz-gasht
kuchh na tha ek kucha gard-e-sabr ka aawaza tha
jaane andar kya hua main shor sun kar ai 'salim'
us jagah pahuncha to dekha band wo darwaza tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.