kal raste mein ek ajab waqia hua
kal rāste meñ ek ajab vāqi.a huā
vo pahlī baar guzrā mujhe dekhtā huā
ai ḳhāma-e-navā hai agar vāqa.ī hunar
dīvār-e-jāñ pe naqsh banā boltā huā
gum ho ga.iiñ kahāñ vo parī-chehra titliyāñ
kartā hai intizār darīcha khulā huā
ḳhushiyāñ udaas ho ga.iiñ chehre utar ga.e
sab kuchh thā Thīk-Thāk ye lamhoñ meñ kyā huā
kyoñ āsmāñ ne khīñch lī talvār daf.atan
kyā kah rahā thā dast-e-duā kāñptā huā
chehre kī har ḳharāsh ne kī mujh se guftugū
jab ek aa.ine se mirā sāmnā huā
'yāvar' abhī sameT lo kashkol chashm meñ
baaqī na phir bachegā guloñ par likhā huā
kal raste mein ek ajab waqia hua
wo pahli bar guzra mujhe dekhta hua
ai KHama-e-nawa hai agar waqai hunar
diwar-e-jaan pe naqsh bana bolta hua
gum ho gain kahan wo pari-chehra titliyan
karta hai intizar daricha khula hua
KHushiyan udas ho gain chehre utar gae
sab kuchh tha Thik-Thak ye lamhon mein kya hua
kyon aasman ne khinch li talwar dafatan
kya kah raha tha dast-e-dua kanpta hua
chehre ki har KHarash ne ki mujh se guftugu
jab ek aaine se mera samna hua
'yawar' abhi sameT lo kashkol chashm mein
baqi na phir bachega gulon par likha hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.