kal raat ek ajib paheli hui hawa
kal raat ik ajiib pahelī huī havā
jalte hue diyoñ kī sahelī huī havā
shiddat se haañp haañp ke murda sī ho chukī
vahshat-zada charāġh se khelī huī havā
palTī to dāstān bhī palTegī ek dam
vaadī kī band samt dhakelī huī huā
sab paat jhaḌ chuke haiñ diye bhī shikasta haiñ
raqs o junūñ kī rut meñ akelī huī huā
khiḌkī se aate hī mare māthe ko chhūtī hai
us mehrbān kī sī hathelī huī huā
kal raat ek ajib paheli hui hawa
jalte hue diyon ki saheli hui hawa
shiddat se hanp hanp ke murda si ho chuki
wahshat-zada charagh se kheli hui hawa
palTi to dastan bhi palTegi ek dam
wadi ki band samt dhakeli hui hua
sab pat jhaD chuke hain diye bhi shikasta hain
raqs o junun ki rut mein akeli hui hua
khiDki se aate hi mare mathe ko chhuti hai
us mehrban ki si hatheli hui hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.