kal raat maine dost ye dekha hai KHwab mein
kal raat maine dost ye dekha hai KHwab mein
Taj Muhammad Siddiqui
MORE BYTaj Muhammad Siddiqui
kal raat maiñ ne dost ye dekhā hai ḳhvāb meñ
maiñ pī rahā huuñ ashk milā kar sharāb meñ
barbād is qadar huuñ ki kuchh bhī nahīñ bachā
bekār kuchh hai DhūñDhnā ḳhāna-ḳharāb meñ
vo muskurā ke rah ga.e jaise hī ye kahā
mushkil hai ab to jiinā mirā iztirāb meñ
nākāmiyoñ ko apnā muqaddar banāoge
kyoñ DhūñDte ho aab miyāñ tum sarāb meñ
ruḳhsat ke vaqt gul jo diye aap ne mujhe
rakkhe hue haiñ aaj bhī vo gul kitāb meñ
tum bhī miyāñ na 'tāj' kabhī paar pāoge
lākhoñ hazāroñ Duub ga.e is chanāb meñ
kal raat main ne dost ye dekha hai KHwab mein
main pi raha hun ashk mila kar sharab mein
barbaad is qadar hun ki kuchh bhi nahin bacha
bekar kuchh hai DhunDhna KHana-KHarab mein
wo muskura ke rah gae jaise hi ye kaha
mushkil hai ab to jina mera iztirab mein
nakaamiyon ko apna muqaddar banaoge
kyon DhunDte ho aab miyan tum sarab mein
ruKHsat ke waqt gul jo diye aap ne mujhe
rakkhe hue hain aaj bhi wo gul kitab mein
tum bhi miyan na 'taj' kabhi par paoge
lakhon hazaron Dub gae is chanab mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.