kal raat sehn-e-dil mein tha harjaiyon ka raqs
kal raat sehn-e-dil mein tha harjaiyon ka raqs
Khwaja tariq Usmani
MORE BYKhwaja tariq Usmani
kal raat sehn-e-dil meñ thā harjā.iyoñ kā raqs
thī vahshatoñ kī thaap pachhal-pā.iyoñ kā raqs
manzūm ho rahī thī ḳhamoshī ba-faiz-e-hijr
thā zehn meñ hurūf kī parchhā.iyoñ kā raqs
us kī ḳhushī manā.ūñ yā afsos na karūñ
hai shohratoñ ke saaz pe rusvā.iyoñ kā raqs
ye vo zamāna hai nahīñ jis kī koī misāl
yaañ bhā.iyoñ ke qatl pe hai bhā.iyoñ kā raqs
shab bhar adā-e-husn ko Tuk dekhtā rahā
maiñ us ḳhirām-e-nāz kī añgḌā.iyoñ kā raqs
andar thā mere vasl kā bistar lagā huā
kamre meñ thak ke chuur thā tanhā.iyoñ kā raqs
maiñ mahv-e-guftugū thā tumhārī nazar ke saath
aur mere ird-gard thā bīnā.iyoñ kā raqs
kuchh baat thī jo bazm meñ tanhā khaḌā thā maiñ
hālāñki chār-sū thā shanāsā.iyoñ kā raqs
kal raat sehn-e-dil mein tha harjaiyon ka raqs
thi wahshaton ki thap pachhal-paiyon ka raqs
manzum ho rahi thi KHamoshi ba-faiz-e-hijr
tha zehn mein huruf ki parchhaiyon ka raqs
us ki KHushi manaun ya afsos na karun
hai shohraton ke saz pe ruswaiyon ka raqs
ye wo zamana hai nahin jis ki koi misal
yan bhaiyon ke qatl pe hai bhaiyon ka raqs
shab bhar ada-e-husn ko Tuk dekhta raha
main us KHiram-e-naz ki angDaiyon ka raqs
andar tha mere wasl ka bistar laga hua
kamre mein thak ke chur tha tanhaiyon ka raqs
main mahw-e-guftugu tha tumhaari nazar ke sath
aur mere ird-gard tha binaiyon ka raqs
kuchh baat thi jo bazm mein tanha khaDa tha main
haalanki chaar-su tha shanasaiyon ka raqs
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.