kal raat teri yaad ko humne biThaya aur bas
kal raat terī yaad ko ham ne biThāyā aur bas
takte rahe mahtāb ko kuchh yaad aayā aur bas
shikve ka.ī the the ka.ī ham ko gile us ne magar
milte hī yuuñ ma.asūmiyat se muskurāyā aur bas
peshāniyoñ par thī shikan ġhusse se yuuñ sab laal the
phir ek dam us ne nazar ko yuuñ jhukāyā aur bas
dekhā jo us ne hijr ko ik roz apne ḳhvāb meñ
jhuñjhlā uThe phir niiñd se ham ko jagāyā aur bas
ai yaar jab tak thī nahīñ be-pardagī sab Thiik thā
us ne yakāyak chehre se chehra haTāyā aur bas
tum jo ga.e the haath yuuñ ham se chhuḌā kar kyā kaheñ
band siina meñ jo thā parinda phaḌphaḌāyā aur bas
apne kalāmoñ kā sabab ab ham batā.eñ bhī to kyā
ik roz 'hāmid' un se thā yuuñ dil lagāyā aur bas
kal raat teri yaad ko hum ne biThaya aur bas
takte rahe mahtab ko kuchh yaad aaya aur bas
shikwe kai the the kai hum ko gile us ne magar
milte hi yun masumiyat se muskuraya aur bas
peshaniyon par thi shikan ghusse se yun sab lal the
phir ek dam us ne nazar ko yun jhukaya aur bas
dekha jo us ne hijr ko ek roz apne KHwab mein
jhunjhla uThe phir nind se hum ko jagaya aur bas
ai yar jab tak thi nahin be-pardagi sab Thik tha
us ne yakayak chehre se chehra haTaya aur bas
tum jo gae the hath yun hum se chhuDa kar kya kahen
band sina mein jo tha parinda phaDphaDaya aur bas
apne kalamon ka sabab ab hum bataen bhi to kya
ek roz 'hamid' un se tha yun dil lagaya aur bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.