kal sapna tha kal ke wade jhuTe the
kal sapnā thā kal ke va.ade jhūTe the
rang-birange saare jazbe jhūTe the
Dhaltā sūraj kitnā bebas lagtā thā
shaam ke manzar dhuul kī kohr meñ lipTe the
lamhe the ki purvā.ī sī chaltī thī
har ik pal kuchh zaḳhm se khilne lagte the
jin jin rastoñ se vo mujh meñ utrā thā
āñkhoñ meñ vo saare naqsh sulagte the
un hoñToñ ne jo kuchh bhī farmāyā thā
dil par vo alfāz vo lahje likhte the
jiine kā sarmāya bas kuchh ḳhvāb sarāb
aslī sukūñ par to kuchh saañp se baiThe the
ab un ke 'jāved' ishāre kyā socheñ
āñkhoñ ne bhī shāyad jhuuT hī bole the
kal sapna tha kal ke wade jhuTe the
rang-birange sare jazbe jhuTe the
Dhalta suraj kitna bebas lagta tha
sham ke manzar dhul ki kohr mein lipTe the
lamhe the ki purwai si chalti thi
har ek pal kuchh zaKHm se khilne lagte the
jin jin raston se wo mujh mein utra tha
aankhon mein wo sare naqsh sulagte the
un honTon ne jo kuchh bhi farmaya tha
dil par wo alfaz wo lahje likhte the
jine ka sarmaya bas kuchh KHwab sarab
asli sukun par to kuchh sanp se baiThe the
ab un ke 'jawed' ishaare kya sochen
aankhon ne bhi shayad jhuT hi bole the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.