kal shab uski yaad mein yun aankh bhar aai ki bas
kal shab uski yaad mein yun aankh bhar aai ki bas
Mohammad Muzammil Khan
MORE BYMohammad Muzammil Khan
kal shab us kī yaad meñ yuuñ aañkh bhar aa.ī ki bas
sahn-e-dil par ranj-o-ġham kī vo ghaTā chhā.ī ki bas
dard ke saa.e the har bām-o-dar-o-dīvār par
jān-levā is qadar thī ghar kī tanhā.ī ki bas
tujh se shikva kyā kareñ ab dil hī ko samjhā.eñge
tū to harjā.ī hai aur phir aisā harjā.ī ki bas
jab talak nā-āshnā tujh se the sab kuchh Thiik thā
ik qayāmat Dhā ga.ī terī shanāsā.ī ki bas
har qadam par sanglāḳhoñ kā safar thā aur maiñ
dasht-e-ulfat meñ huī vo ābla-pā.ī ki bas
khol hī detā tire sab raaz dīvāna terā
āstāne se tire lekin sadā aa.ī ki bas
chaak kar Daalā garebāñ maiñ ne un ko dekh kar
ho ga.ī merī sar-e-mahfil vo rusvā.ī ki bas
yak-ba-yak vo ho ga.e 'bechain' sun kar merā naam
bole saudā.ī hai merā aisā saudā.ī ki bas
kal shab us ki yaad mein yun aankh bhar aai ki bas
sahn-e-dil par ranj-o-gham ki wo ghaTa chhai ki bas
dard ke sae the har baam-o-dar-o-diwar par
jaan-lewa is qadar thi ghar ki tanhai ki bas
tujh se shikwa kya karen ab dil hi ko samjhaenge
tu to harjai hai aur phir aisa harjai ki bas
jab talak na-ashna tujh se the sab kuchh Thik tha
ek qayamat Dha gai teri shanasai ki bas
har qadam par sanglaKHon ka safar tha aur main
dasht-e-ulfat mein hui wo aabla-pai ki bas
khol hi deta tere sab raaz diwana tera
aastane se tere lekin sada aai ki bas
chaak kar Dala gareban main ne un ko dekh kar
ho gai meri sar-e-mahfil wo ruswai ki bas
yak-ba-yak wo ho gae 'bechain' sun kar mera nam
bole saudai hai mera aisa saudai ki bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.