kal shab wo shoKH-chashm khula sar se panw tak
kal shab vo shoḳh-chashm khulā sar se paañv tak
aisā ki be-libās rahā sar se paañv tak
āñkheñ ḳhamosh suntī rahīñ jism ke suḳhan
vo kyoñ hī ham-kalām huā sar se paañv tak
kahtī hai us ko dekhne vaalī har ik nazar
vo aaj bhī hai nāz-o-adā sar se paañv tak
mere suḳhan ke aage ye saare suḳhanvarān
dekhe ga.e be-saut-o-sadā sar se paañv tak
us ne nazar nazar hī meñ aise suḳhan kahe
maiñ us ko dekhtā hī rahā sar se paañv tak
kal shab wo shoKH-chashm khula sar se panw tak
aisa ki be-libas raha sar se panw tak
aankhen KHamosh sunti rahin jism ke suKHan
wo kyon hi ham-kalam hua sar se panw tak
kahti hai us ko dekhne wali har ek nazar
wo aaj bhi hai naz-o-ada sar se panw tak
mere suKHan ke aage ye sare suKHanwaran
dekhe gae be-saut-o-sada sar se panw tak
us ne nazar nazar hi mein aise suKHan kahe
main us ko dekhta hi raha sar se panw tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.