kal tak aasuda-dili thi aashiyan tha aur main
kal tak aasuda-dili thi aashiyan tha aur main
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
kal tak āsūda-dilī thī āshiyāñ thā aur maiñ
aaj hai bikhrā huā ek ek tinkā aur maiñ
maiñ kise āvāz detā aur suntā bhī to kaun
mere gird-o-pesh ḳhvāboñ kā nagar thā aur maiñ
ham-safar to thā magar ġham-āshnā vo bhī na thā
fāsla rakh kar chale the merā saayā aur maiñ
ab akele meñ bhī tanhā maiñ kabhī hotā nahīñ
is qadar mānūs haiñ vo ek kamra aur maiñ
us ne motī chun liye maiñ sīpiyāñ chuntā rahā
apne apne zarf ke qaidī the dariyā aur maiñ
'kaif' kitnī muḳhtasar hai zindagī kī dāstāñ
ik sarāboñ kā safar hai ek sahrā aur maiñ
kal tak aasuda-dili thi aashiyan tha aur main
aaj hai bikhra hua ek ek tinka aur main
main kise aawaz deta aur sunta bhi to kaun
mere gird-o-pesh KHwabon ka nagar tha aur main
ham-safar to tha magar gham-ashna wo bhi na tha
fasla rakh kar chale the mera saya aur main
ab akele mein bhi tanha main kabhi hota nahin
is qadar manus hain wo ek kamra aur main
us ne moti chun liye main sipiyan chunta raha
apne apne zarf ke qaidi the dariya aur main
'kaif' kitni muKHtasar hai zindagi ki dastan
ek sarabon ka safar hai ek sahra aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.