Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kal tak jo intizar tha wo bhi nahin raha

Armaan Jodhpuri

kal tak jo intizar tha wo bhi nahin raha

Armaan Jodhpuri

MORE BYArmaan Jodhpuri

    kal tak jo intizār thā vo bhī nahīñ rahā

    ik to merā yaar thā vo bhī nahīñ rahā

    thoḌā bahut jo pyaar thā vo bhī nahīñ rahā

    ik shaḳhs be-qarār thā vo bhī nahīñ rahā

    jiine ek umiid thī vo bhī nahīñ rahī

    jis dard se qarār thā vo bhī nahīñ rahā

    aisī chalī havā.eñ ki sab kuchh bikhar gayā

    ik peḌ sāya-dār thā vo bhī nahīñ rahā

    afsāne siyāhī se sab kuchh badal diyā

    ḳhvāboñ pe iḳhtiyār thā vo bhī nahīñ rahā

    jo mausamoñ tarah badaltā thā rañgateñ

    aur āmad-e-bahār thā vo bhī nahīñ rahā

    hotā thā apne beach mohabbat len-den

    barakat kārobār thā vo bhī nahīñ rahā

    pyāsī bahut thī hasrateñ lo aaj mar ga.iiñ

    bārish intizār thā vo bhī nahīñ rahā

    'armān' vo ḳhayāl mirī jā.edād thā

    is fikr meñ nikhār thā vo bhī nahīñ rahā

    kal tak jo intizar tha wo bhi nahin raha

    ek hi to mera yar tha wo bhi nahin raha

    thoDa bahut jo pyar tha wo bhi nahin raha

    ek shaKHs be-qarar tha wo bhi nahin raha

    jine ki ek umid thi wo bhi nahin rahi

    jis dard se qarar tha wo bhi nahin raha

    aisi chali hawaen ki sab kuchh bikhar gaya

    ek peD saya-dar tha wo bhi nahin raha

    afsane ki siyahi se sab kuchh badal diya

    KHwabon pe iKHtiyar tha wo bhi nahin raha

    jo mausamon ki tarah badalta tha rangaten

    aur aamad-e-bahaar tha wo bhi nahin raha

    hota tha apne beach mohabbat ka len-den

    barakat ka karobar tha wo bhi nahin raha

    pyasi bahut thi hasraten lo aaj mar gain

    barish ka intizar tha wo bhi nahin raha

    'arman' wo KHayal meri jaedad tha

    is fikr mein nikhaar tha wo bhi nahin raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now