kal tak jo mere sath tha aghyar ki surat
kal tak jo mire saath thā aġhyār kī sūrat
aane lagā hai pesh vo ab yaar kī sūrat
ḳhadsha hameñ hotā hai vahāñ kaun hai apnā
ik jaisī hī hotī hai jahāñ chaar kī sūrat
lāchār sā be-bas sā vo ma.asūm sā bachcha
phirtā hai galī-kūchoñ meñ aḳhbār kī sūrat
peshānī pe jo haath rakhegā vo masīhā
khil jā.egī sukḌī huī bīmār kī sūrat
jab yaad tirī aa ke satātī hai ai 'ahmad'
jazbāt ubhar aate haiñ ash.ār kī sūrat
kal tak jo mere sath tha aghyar ki surat
aane laga hai pesh wo ab yar ki surat
KHadsha hamein hota hai wahan kaun hai apna
ek jaisi hi hoti hai jahan chaar ki surat
lachaar sa be-bas sa wo masum sa bachcha
phirta hai gali-kuchon mein aKHbar ki surat
peshani pe jo hath rakhega wo masiha
khil jaegi sukDi hui bimar ki surat
jab yaad teri aa ke satati hai ai 'ahmad'
jazbaat ubhar aate hain ashaar ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.