kal tak uski wo mehrbani thi
kal tak us kī vo mehrbānī thī
aaj dekhā to sargirānī thī
kiyā ġhamgīn us ne ham ko nit
jis ke milne kī shādmānī thī
go ba-zāhir vo ġhair se thā do-chār
ham se bhī dostī nibhānī thī
jal-bujhe tab khulā patañgoñ par
sham.a aur dostī zabānī thī
aa gayā rahm us ke dil meñ aah
ham ne yuuñ apnī marg Thānī thī
so gayā sunte hī vo ġham kī mire
sarguzisht us ke ta.iiñ kahānī thī
na 'jahāñdār' jaane thā ai 'mīr'
dostī mudda.ī-e-jānī thī
kal tak us ki wo mehrbani thi
aaj dekha to sargirani thi
kiya ghamgin us ne hum ko nit
jis ke milne ki shadmani thi
go ba-zahir wo ghair se tha do-chaar
hum se bhi dosti nibhani thi
jal-bujhe tab khula patangon par
shama aur dosti zabani thi
aa gaya rahm us ke dil mein aah
hum ne yun apni marg Thani thi
so gaya sunte hi wo gham ki mere
sarguzisht us ke tain kahani thi
na 'jahandar' jaane tha ai 'mir'
dosti muddai-e-jaani thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.