kal yahan aisa andhera dekhna ho jaega
kal yahāñ aisā añdherā dekhnā ho jā.egā
ek māchis jo jalā de vo ḳhudā ho jā.egā
ik na ik din vasl tai hai phir ye kaisī dushmanī
ik na ik din har diyā hī to havā ho jā.egā
bolne ko aañkh aur āvāz donoñ chāhiyeñ
dekhnā hotā hai kyā kahne se kyā ho jā.egā
ye tasallī le ke ham rāh-e-mohabbat par chale
kam se kam dil TūTne kā tajraba ho jā.egā
jo bhī kuchh kahnā hai sāhib aap hī kah dījiye
ham kaheñge kuchh to hangāma khaḌā ho jā.egā
hai 'anant' ek or jis kā kyā pata kab ant ho
aur duujī or 'fānī' jo fanā ho jā.egā
kal yahan aisa andhera dekhna ho jaega
ek machis jo jala de wo KHuda ho jaega
ek na ek din wasl tai hai phir ye kaisi dushmani
ek na ek din har diya hi to hawa ho jaega
bolne ko aankh aur aawaz donon chahiyen
dekhna hota hai kya kahne se kya ho jaega
ye tasalli le ke hum rah-e-mohabbat par chale
kam se kam dil TuTne ka tajraba ho jaega
jo bhi kuchh kahna hai sahib aap hi kah dijiye
hum kahenge kuchh to hangama khaDa ho jaega
hai 'anant' ek or jis ka kya pata kab ant ho
aur duji or 'fani' jo fana ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.