kaleja munh ko aata hai karen tum se bayan kyunkar
kaleja muñh ko aatā hai kareñ tum se bayāñ kyūñkar
na pūchho ham-safīro ham se chhūTā āshiyāñ kyūñkar
zarā dekheñ badal jaatā hai daur-e-āsmāñ kyūñkar
kisī ke haal par hotā hai koī meherbāñ kyūñkar
hameñ to ġham se itnī bhī nahīñ fursat ki ye socheñ
mohabbat meñ huā kartā hai koī shādmāñ kyūñkar
kisī par umr bhar kī kis tarah mashq-e-sitam tum ne
zarā socho to dil meñ aur loge imtihāñ kyūñkar
na ham hoñge na gulshan meñ hamārā āshiyāñ hogā
baneñgī bijliyāñ aa kar charāġh-e-āshiyāñ kyūñkar
uḌātā hai nishāna dil kā vo nāvak-fagan 'safdar'
nazākat dekhtī hai muñh ki khīñchtī hai kamāñ kyūñkar
kaleja munh ko aata hai karen tum se bayan kyunkar
na puchho ham-safiro hum se chhuTa aashiyan kyunkar
zara dekhen badal jata hai daur-e-asman kyunkar
kisi ke haal par hota hai koi meherban kyunkar
hamein to gham se itni bhi nahin fursat ki ye sochen
mohabbat mein hua karta hai koi shadman kyunkar
kisi par umr bhar ki kis tarah mashq-e-sitam tum ne
zara socho to dil mein aur loge imtihan kyunkar
na hum honge na gulshan mein hamara aashiyan hoga
banengi bijliyan aa kar charagh-e-ashiyan kyunkar
uData hai nishana dil ka wo nawak-fagan 'safdar'
nazakat dekhti hai munh ki khinchti hai kaman kyunkar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.