kali ko phulon ki zindagi ka shuur phir ek bar hoga
kali ko phulon ki zindagi ka shuur phir ek bar hoga
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
kalī ko phūloñ kī zindagī kā shu'ūr phir ek baar hogā
ḳhizāñ se paidā bahār kar le chaman ko ye iḳhtiyār hogā
zamāna pahlū badal rahā hai falak ke tevar batā rahe haiñ
harīf jis ko chhupā rahe the vo raaz ab āshkār hogā
sunā hai sahrā-nashīñ gulistāñ kī zindagī ko faroġh deñge
agar ye sach hai to ahl-e-gulshan ko bā’is-e-iftiḳhār hogā
adab se mai-ḳhvār sun rahe haiñ nigāh saaqī kī kah rahī hai
yahī purānā sharāb-ḳhāna hayāt-e-nau kā hisār hogā
nujūm kī anjuman meñ ahl-e-zamīñ kī hālat kā tazkira thā
bhar aa.ī shabnam kī aañkh bolā qamar use nāgavār hogā
ḳhizāñ ke manzar ko yaad kar ke hañsī uḌānā hañsī nahīñ hai
ḳhizāñ kā dāman junūñ ke hāthoñ bahār meñ tār-tār hogā
na.e chaman se nigāh-e-maġhrib ne phuul ġhairat ke chun liye haiñ
jo dil meñ gulchīñ ke chubh rahā hai purāne gulshan kā ḳhaar hogā
ġhalat hai aulād-e-ahl-e-dānish ko vo mazāq-e-nazar nahīñ hai
havā to hai sāzgār 'zaidī' magar koī intizār hogā
kali ko phulon ki zindagi ka shu'ur phir ek bar hoga
KHizan se paida bahaar kar le chaman ko ye iKHtiyar hoga
zamana pahlu badal raha hai falak ke tewar bata rahe hain
harif jis ko chhupa rahe the wo raaz ab aashkar hoga
suna hai sahra-nashin gulistan ki zindagi ko farogh denge
agar ye sach hai to ahl-e-gulshan ko ba’is-e-iftiKHar hoga
adab se mai-KHwar sun rahe hain nigah saqi ki kah rahi hai
yahi purana sharab-KHana hayat-e-nau ka hisar hoga
nujum ki anjuman mein ahl-e-zamin ki haalat ka tazkira tha
bhar aai shabnam ki aankh bola qamar use nagawar hoga
KHizan ke manzar ko yaad kar ke hansi uDana hansi nahin hai
KHizan ka daman junun ke hathon bahaar mein tar-tar hoga
nae chaman se nigah-e-maghrib ne phul ghairat ke chun liye hain
jo dil mein gulchin ke chubh raha hai purane gulshan ka KHar hoga
ghalat hai aulad-e-ahl-e-danish ko wo mazaq-e-nazar nahin hai
hawa to hai sazgar 'zaidi' magar koi intizar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.