kali phuT aae chaTakne na pae
kalī phuuT aa.e chaTakne na paa.e
taḌap jaa.e bulbul chahakne na paa.e
ghule garche siine meñ dil ai hamiyyat
magar koī aañsū Tapakne na paa.e
vahī rind hai rind is mai-kade kā
jo khul kar piye aur bahakne na paa.e
baḌī āzmā.ish hai vo ashk-e-larzāñ
jo umDe magar phir Tapakne na paa.e
qafas kyā hai tinkoñ kī bodī sī sāzish
asiir is ke andar phaḌakne na paa.e
maze āshiqī ke agar haiñ to jab haiñ
sulagtī rahe aur bhaḌakne na paa.e
shab-e-ġham kī zulmat kā itnā tahaffuz
kahīñ ik sharar tak chamakne na paa.e
kali phuT aae chaTakne na pae
taDap jae bulbul chahakne na pae
ghule garche sine mein dil ai hamiyyat
magar koi aansu Tapakne na pae
wahi rind hai rind is mai-kade ka
jo khul kar piye aur bahakne na pae
baDi aazmaish hai wo ashk-e-larzan
jo umDe magar phir Tapakne na pae
qafas kya hai tinkon ki bodi si sazish
asir is ke andar phaDakne na pae
maze aashiqi ke agar hain to jab hain
sulagti rahe aur bhaDakne na pae
shab-e-gham ki zulmat ka itna tahaffuz
kahin ek sharar tak chamakne na pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.