meri hasti ko miTa kar dekho
merī hastī ko miTā kar dekho
ḳhaak meñ ḳhaak milā kar dekho
aag meñ aag to lag jā.egī
aag paanī meñ lagā kar dekho
vasl kā shahd chakhā hai tum ne
hijr kā zahr bhī khā kar dekho
sañg koī bhī uThā letā hai
āsmāñ sar pe uThā kar dekho
merā dā'vā hai bharegā hī nahīñ
phuul kā zaḳhm to khā kar dekho
donoñ 'ālam meñ na sar ḳham hogā
sar namāzoñ meñ jhukā kar dekho
ye bhī mumkin hai havā ho jaa.e
dard meñ dard milā kar dekho
dhuup dahshat kī chalī jā.egī
amn kā peḌ lagā kar dekho
rote rote bhī kabhī hañs denā
dhuup meñ chhāñv milā kar dekho
meri hasti ko miTa kar dekho
KHak mein KHak mila kar dekho
aag mein aag to lag jaegi
aag pani mein laga kar dekho
wasl ka shahd chakha hai tum ne
hijr ka zahr bhi kha kar dekho
sang koi bhi uTha leta hai
aasman sar pe uTha kar dekho
mera da'wa hai bharega hi nahin
phul ka zaKHm to kha kar dekho
donon 'alam mein na sar KHam hoga
sar namazon mein jhuka kar dekho
ye bhi mumkin hai hawa ho jae
dard mein dard mila kar dekho
dhup dahshat ki chali jaegi
amn ka peD laga kar dekho
rote rote bhi kabhi hans dena
dhup mein chhanw mila kar dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.