kaliyan talash karte hue Khaar tak gae
kaliyāñ talāsh karte hue ḳhaar tak ga.e
apne 'amal se manzil-e-dushvār tak ga.e
tārīkiyoñ se nuur kī dīvār tak ga.e
zulfeñ sañvārte hue ruḳhsār tak ga.e
nā chāhte hue bhī 'ayādat ke vāste
darvesh ban ke roz dar-e-yār tak ga.e
samjhī na kā.enāt-e-mohabbat ke pech-o-ḳham
pardā-nashīn log bhī bāzār tak ga.e
qātil se ye subūt miTāyā na jā sakā
qatre hamāre ḳhuun ke darbār tak ga.e
baisākhiyāñ tarāshne vāloñ se pūchhiye
kitnoñ ke ghar ujaaḌ ke ashjār tak ga.e
aisā nahīñ ke maslahatan chup rahe sabhī
kuchh haq-parast log shahryār tak ga.e
masrūr ho gayā vo mirā sar utaar kar
qātil ke haath kab mirī dastār tak ga.e
jazba hamārā rattī barābar na kam huā
ye aur baat jang meñ ham haar tak ga.e
majnūñ kī kyā bisāt hai 'mehvar' ke sāmne
sahrā meñ bas ga.e to vo ham daar tak ga.e
kaliyan talash karte hue KHar tak gae
apne 'amal se manzil-e-dushwar tak gae
tarikiyon se nur ki diwar tak gae
zulfen sanwarte hue ruKHsar tak gae
na chahte hue bhi 'ayaadat ke waste
darwesh ban ke roz dar-e-yar tak gae
samjhi na kaenat-e-mohabbat ke pech-o-KHam
parda-nashin log bhi bazar tak gae
qatil se ye subut miTaya na ja saka
qatre hamare KHun ke darbar tak gae
baisakhiyan tarashne walon se puchhiye
kitnon ke ghar ujaD ke ashjar tak gae
aisa nahin ke maslahatan chup rahe sabhi
kuchh haq-parast log shahryar tak gae
masrur ho gaya wo mera sar utar kar
qatil ke hath kab meri dastar tak gae
jazba hamara ratti barabar na kam hua
ye aur baat jang mein hum haar tak gae
majnun ki kya bisat hai 'mehwar' ke samne
sahra mein bas gae to wo hum dar tak gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.