kaliyon ki chaTak gul ki hansi aur ziyaada
kaliyoñ kī chaTak gul kī hañsī aur ziyāda
aa.e tere hisse meñ ḳhushī aur ziyāda
aa jaa.e in āñkhoñ meñ namī aur ziyāda
ho jaa.e mire dil kī lagī aur ziyāda
kuchh dil kī taḌap baḌh ga.ī manzil pe pahuñch kar
kuchh ruuh bhī betāb huī aur ziyāda
saaqī ne jo maḳhmūr nigāhoñ se navāzā
sahbā mire sāġhar meñ Dhalī aur ziyāda
phir jaag uThī hai mire ehsās kī duniyā
phir ġham kī havā chalne lagī aur ziyāda
palkoñ pe shab-e-ġham jo machalne lage aañsū
jazbāt kī tafsīr huī aur ziyāda
mahke jo tamannāoñ ke gul bazm-e-vafā meñ
ḳhushbu-e-vafā phail ga.ī aur ziyāda
īsār-o-mohabbat ke nishānāt jo ubhre
kirdār kī ta.amīr huī aur ziyāda
is daur ke insān meñ iḳhlās-o-vafā kī
hone lagī mahsūs kamī aur ziyāda
chhā jā.egā armānoñ kī duniyā meñ añdherā
ḳhvāboñ kī agar sham.a jalī aur ziyāda
ai sāqi-e-mahfil tire paiġhām-e-nazar se
ho silsila-e-bāda-kashī aur ziyāda
behtar hai ki mil jaa.e kisī peḌ kā saaya
kyā hogā agar dhuup paḌī aur ziyāda
jab dil ko 'nigār' un ke tasavvur ne pukārā
rāhat kī kiran mujh ko milī aur ziyāda
kaliyon ki chaTak gul ki hansi aur ziyaada
aae tere hisse mein KHushi aur ziyaada
aa jae in aankhon mein nami aur ziyaada
ho jae mere dil ki lagi aur ziyaada
kuchh dil ki taDap baDh gai manzil pe pahunch kar
kuchh ruh bhi betab hui aur ziyaada
saqi ne jo maKHmur nigahon se nawaza
sahba mere saghar mein Dhali aur ziyaada
phir jag uThi hai mere ehsas ki duniya
phir gham ki hawa chalne lagi aur ziyaada
palkon pe shab-e-gham jo machalne lage aansu
jazbaat ki tafsir hui aur ziyaada
mahke jo tamannaon ke gul bazm-e-wafa mein
KHushbu-e-wafa phail gai aur ziyaada
isar-o-mohabbat ke nishanat jo ubhre
kirdar ki tamir hui aur ziyaada
is daur ke insan mein iKHlas-o-wafa ki
hone lagi mahsus kami aur ziyaada
chha jaega armanon ki duniya mein andhera
KHwabon ki agar shama jali aur ziyaada
ai saqi-e-mahfil tere paigham-e-nazar se
ho silsila-e-baada-kashi aur ziyaada
behtar hai ki mil jae kisi peD ka saya
kya hoga agar dhup paDi aur ziyaada
jab dil ko 'nigar' un ke tasawwur ne pukara
rahat ki kiran mujh ko mili aur ziyaada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.