kaliyon ki parwarish ka sila pa rahe hain hum
kaliyoñ kī parvarish kā sila pā rahe haiñ ham
yaaro bharī-bahār meñ murjhā rahe haiñ ham
tere sivā nahīñ hai koī lams-āshnā
bād-e-sabā ko chhūne se ghabrā rahe haiñ ham
jab rahnumā-e-shauq tū hī tū hai chār-sū
phir kaun sochtā hai kidhar jā rahe haiñ ham
ik baar us ne ham ko pukārā thā naam se
muddat huī par aaj bhī itrā rahe haiñ ham
har-dil-azīz yūñhī achānak nahīñ hue
barsoñ isī dayār meñ rusvā rahe haiñ ham
jis din se tere vāda-e-fardā pe shak huā
us din se apne aap ko jhuTlā rahe haiñ ham
'kāshif' ye baat koī na jaane ḳhudā kare
kyoñ itne be-qarār nazar aa rahe haiñ ham
kaliyon ki parwarish ka sila pa rahe hain hum
yaro bhari-bahaar mein murjha rahe hain hum
tere siwa nahin hai koi lams-ashna
baad-e-saba ko chhune se ghabra rahe hain hum
jab rahnuma-e-shauq tu hi tu hai chaar-su
phir kaun sochta hai kidhar ja rahe hain hum
ek bar us ne hum ko pukara tha nam se
muddat hui par aaj bhi itra rahe hain hum
har-dil-aziz yunhi achanak nahin hue
barson isi dayar mein ruswa rahe hain hum
jis din se tere wada-e-farda pe shak hua
us din se apne aap ko jhuTla rahe hain hum
'kashif' ye baat koi na jaane KHuda kare
kyon itne be-qarar nazar aa rahe hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.