kaliyon ko hansi aa jati hai phulon pe nikhaar aa jata hai
kaliyon ko hansi aa jati hai phulon pe nikhaar aa jata hai
Ishrat Jahangirpuri
MORE BYIshrat Jahangirpuri
kaliyoñ ko hañsī aa jaatī hai phūloñ pe nikhār aa jaatā hai
taqdīr-e-chaman jaag uThtī hai jab jān-e-bahār aa jaatā hai
pī lete haiñ ḳhud apne aañsū ghaT jaatā hai un ke tan kā lahū
sayyād asīroñ ke aage jab zikr-e-bahār aa jaatā hai
tanhā hai to is kī fikr na kar ho rāh-e-talab meñ garm-e-safar
'ushshāq kā dil bahlāne ko manzil kā ġhubār aa jaatā hai
aayā jo 'anādil par na taras be-jurm kiyā pāband-e-qafas
sayyād 'abas ab hamdardī kyā jā ke vaqār aa jaatā hai
un ko hoñ mubārak maiḳhāne jo sirf haiñ mai ke dīvāne
mujh tak to ḳhayāl-e-sāqī hī mastī ba-kanār aa jaatā hai
zāhid tū hamāre 'isyāñ par yuuñ tanz na kar māyūs na kar
jab ashk-e-nadāmat bahte haiñ rahmat ko bhī pyaar aa jaatā hai
kaliyon ko hansi aa jati hai phulon pe nikhaar aa jata hai
taqdir-e-chaman jag uThti hai jab jaan-e-bahaar aa jata hai
pi lete hain KHud apne aansu ghaT jata hai un ke tan ka lahu
sayyaad asiron ke aage jab zikr-e-bahaar aa jata hai
tanha hai to is ki fikr na kar ho rah-e-talab mein garm-e-safar
'ushshaq ka dil bahlane ko manzil ka ghubar aa jata hai
aaya jo 'anadil par na taras be-jurm kiya paband-e-qafas
sayyaad 'abas ab hamdardi kya ja ke waqar aa jata hai
un ko hon mubarak maiKHane jo sirf hain mai ke diwane
mujh tak to KHayal-e-saqi hi masti ba-kanar aa jata hai
zahid tu hamare 'isyan par yun tanz na kar mayus na kar
jab ashk-e-nadamat bahte hain rahmat ko bhi pyar aa jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.