kaliyon pe shabab aae phulon pe nikhaar aae
kaliyoñ pe shabāb aa.e phūloñ pe nikhār aa.e
ik aap ke aane se gulshan meñ bahār aa.e
ye kaisī adāvat hai ye kaisī mohabbat hai
tum se hī gile shikve aur tum pe hī pyaar aa.e
aane kī ḳhabar de kar aa.e na abhī tak vo
aa jaa.eñ to shāyad phir is dil ko qarār aa.e
mahfil meñ raqīboñ kī vo jaate haiñ ḳhush ho kar
kahte haiñ mohabbat kā ham qarz utaar aa.e
is dast-e-mubārak se taskīn nahīñ hotī
āñkhoñ se pilā saaqī tab jā ke ḳhumār aa.e
gulshan ko lahū de kar sīñchā hai 'samar' maiñ ne
lekin mire hisse meñ bas ḳhaar hī ḳhaar aa.e
kaliyon pe shabab aae phulon pe nikhaar aae
ek aap ke aane se gulshan mein bahaar aae
ye kaisi adawat hai ye kaisi mohabbat hai
tum se hi gile shikwe aur tum pe hi pyar aae
aane ki KHabar de kar aae na abhi tak wo
aa jaen to shayad phir is dil ko qarar aae
mahfil mein raqibon ki wo jate hain KHush ho kar
kahte hain mohabbat ka hum qarz utar aae
is dast-e-mubarak se taskin nahin hoti
aankhon se pila saqi tab ja ke KHumar aae
gulshan ko lahu de kar sincha hai 'samar' main ne
lekin mere hisse mein bas KHar hi KHar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.