kam-az-kam is qadar to aadmi hushiyar ho jae
kam-az-kam is qadar to aadmī hushiyār ho jaa.e
ki jab duniyā na aa.e raas to dīñ-dār ho jaa.e
kabhī chheḌā to kar mizrāb-e-ġham se sāz-e-hastī ko
nashāt-e-zindagī hai dil agar bedār ho jaa.e
bahāreñ zindagī kī yuuñ mirī qismat meñ likkhī haiñ
ki maiñ jis phuul ko dāman meñ rakkhūñ ḳhaar ho jaa.e
kabhī ai āftāb aisī bhī koī sub.h paidā kar
sadā nāqūs kī sun kar haram bedār ho jaa.e
muqaddar kī ḳhushī is bazm meñ 'bismil' na ġham koī
magar jis tarh kī jis par nigāh-e-yār ho jaa.e
kam-az-kam is qadar to aadmi hushiyar ho jae
ki jab duniya na aae ras to din-dar ho jae
kabhi chheDa to kar mizrab-e-gham se saz-e-hasti ko
nashat-e-zindagi hai dil agar bedar ho jae
bahaaren zindagi ki yun meri qismat mein likkhi hain
ki main jis phul ko daman mein rakkhun KHar ho jae
kabhi ai aaftab aisi bhi koi subh paida kar
sada naqus ki sun kar haram bedar ho jae
muqaddar ki KHushi is bazm mein 'bismil' na gham koi
magar jis tarh ki jis par nigah-e-yar ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.