kam bhi the agar fan ke KHaridar bahut the
kam bhī the agar fan ke ḳharīdār bahut the
bikne par utar aate to bāzār bahut the
phir bhī na khulī aañkh to kyā kījiye varna
ahbāb ke jhaTke hameñ do-chār bahut the
din niklā bahattar ke sivā koī nahīñ thā
kal raat to sar dene ko tayyār bahut the
lagne na diyā jauhar-e-zātī ko kabhī zang
TuuTe hue ā.īne the ḳhud.dār bahut the
ik hausla thā jis ne rakhā ham ko salāmat
hālāt vahāñ varna dil-āzār bahut the
kirdār kā shahkār vahāñ koī nahīñ thā
mahfil meñ tirī ġhāzī-e-guftār bahut the
ai 'ḳhizr' kahāñ 'ġhālib' o 'nātiq' kahāñ ham tum
dariyā the vo aise jo guhar-bār bahut the
kam bhi the agar fan ke KHaridar bahut the
bikne par utar aate to bazar bahut the
phir bhi na khuli aankh to kya kijiye warna
ahbab ke jhaTke hamein do-chaar bahut the
din nikla bahattar ke siwa koi nahin tha
kal raat to sar dene ko tayyar bahut the
lagne na diya jauhar-e-zati ko kabhi zang
TuTe hue aaine the KHuddar bahut the
ek hausla tha jis ne rakha hum ko salamat
haalat wahan warna dil-azar bahut the
kirdar ka shahkar wahan koi nahin tha
mahfil mein teri ghazi-e-guftar bahut the
ai 'KHizr' kahan 'ghaalib' o 'natiq' kahan hum tum
dariya the wo aise jo guhar-bar bahut the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.