kam hi hote hain muqaddar ke sikandar chehre
kam hī hote haiñ muqaddar ke sikandar chehre
kitne murjhā.e haiñ in chehroñ ke andar chehre
ahl-e-kashtī ko to sāhil ke hī ḳhvāb aate haiñ
taktā rahtā hai safīnoñ ke samundar chehre
qahr kyā TuuT paḌā raat ko is bastī par
aise jhulse jo nazar aate haiñ ghar ghar chehre
buġhz-o-nafrat ke hadaf haiñ ye siyāsat ke qatīl
bhūke nañge haiñ ye bhaTke hue dar-dar chehre
dil meñ ik tiir jo sur.at se utar jaatā hai
jab ghaḌī bhar meñ badal jaate haiñ tevar chehre
ye nahīñ sochte qātil bhī to ho sakte haiñ
chāñd ke bhes meñ tārīk se bad-tar chehre
farsh kyā arsh pe bhī milte hī nahīñ haiñ 'ḳhanda'
terī tasvīr ke chehre ke barābar chehre
kam hi hote hain muqaddar ke sikandar chehre
kitne murjhae hain in chehron ke andar chehre
ahl-e-kashti ko to sahil ke hi KHwab aate hain
takta rahta hai safinon ke samundar chehre
qahr kya TuT paDa raat ko is basti par
aise jhulse jo nazar aate hain ghar ghar chehre
bughz-o-nafrat ke hadaf hain ye siyasat ke qatil
bhuke nange hain ye bhaTke hue dar-dar chehre
dil mein ek tir jo surat se utar jata hai
jab ghaDi bhar mein badal jate hain tewar chehre
ye nahin sochte qatil bhi to ho sakte hain
chand ke bhes mein tarik se bad-tar chehre
farsh kya arsh pe bhi milte hi nahin hain 'KHanda'
teri taswir ke chehre ke barabar chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.