kam ho gae jo ashk bhi aankhon ke pas tab
kam ho ga.e jo ashk bhī āñkhoñ ke paas tab
sach ho gayā kabhī jo tumhārā qayās tab
kuchh kuchh to saath deñge magar ek moḌ tak
aur zindagī meñ ā.eñge aise pachās tab
maiñ sabr kar rahā huuñ magar phal kā kyā huā
aa.egā jab aa jā.egī man meñ khaTās tab
us kā bhī rakkho paas jo aayā hai nange paañv
kal ko miloge tum bhī darīda-libās tab
bahtī nadī meñ dekh jalī tīliyāñ na pheñk
sahrā ho ret ret ho lag jaa.e pyaas tab
ruuī ke bhaav milte haiñ vo bhī ki jab ġharīb
dhuntā hai ek umr badan kā kapās tab
kam ho gae jo ashk bhi aankhon ke pas tab
sach ho gaya kabhi jo tumhaara qayas tab
kuchh kuchh to sath denge magar ek moD tak
aur zindagi mein aaenge aise pachas tab
main sabr kar raha hun magar phal ka kya hua
aaega jab aa jaegi man mein khaTas tab
us ka bhi rakkho pas jo aaya hai nange panw
kal ko miloge tum bhi darida-libas tab
bahti nadi mein dekh jali tiliyan na phenk
sahra ho ret ret ho lag jae pyas tab
rui ke bhaw milte hain wo bhi ki jab gharib
dhunta hai ek umr badan ka kapas tab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.