kam kabhi rah ke aazar to hote honge
kam kabhī raah ke āzār to hote hoñge
ābla-pā.ī kahīñ ḳhaar to hote hoñge
mujh se ye soch ke vo merā patā pūchhe thā
tañg-dastoñ ke bhī ghar-bār to hote hoñge
us se bichhḌā maiñ añdheroñ kā makīñ huuñ varna
koī ghar ho dar-o-dīvār to hote hoñge
vo jahāñ bhī ho use dekh ke is shahr ke log
kū-ba-kū naqsh-ba-dīvār to hote hoñge
marg jo apnī tarah koī vahāñ ho ki na ho
log use dekh ke bīmār to hote hoñge
be-gunah bhī thā nihatthā bhī thā maiñ ai qātil
qatl karne ke bhī meyār to hote hoñge
kam kabhi rah ke aazar to hote honge
aabla-pai kahin KHar to hote honge
mujh se ye soch ke wo mera pata puchhe tha
tang-daston ke bhi ghar-bar to hote honge
us se bichhDa main andheron ka makin hun warna
koi ghar ho dar-o-diwar to hote honge
wo jahan bhi ho use dekh ke is shahr ke log
ku-ba-ku naqsh-ba-diwar to hote honge
marg jo apni tarah koi wahan ho ki na ho
log use dekh ke bimar to hote honge
be-gunah bhi tha nihattha bhi tha main ai qatil
qatl karne ke bhi meyar to hote honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.