kam kisi kushta-e-alam ki pursish ki hai
kam kisī kushta-e-ālām kī pursish kī hai
varna duniyā ne to ḳhud apnī parastish kī hai
ham hī kam fahm the samjhe sitam ījād tumheñ
tum ne to ham pe ināyāt kī bārish kī hai
sach to ye hai ki barābar ke haiñ mujrim donoñ
aap kī nazroñ ne dil se mire sāzish kī hai
zindagī qarz samajh kar maiñ jiye jaatā huuñ
ab tamanna na sile kī na satā.ish kī hai
haiñ bahut ahl-e-karam yuuñ to zamīñ par 'at.har'
baat kuchh aur magar us kī navāzish kī hai
kam kisi kushta-e-alam ki pursish ki hai
warna duniya ne to KHud apni parastish ki hai
hum hi kam fahm the samjhe sitam ijad tumhein
tum ne to hum pe inayat ki barish ki hai
sach to ye hai ki barabar ke hain mujrim donon
aap ki nazron ne dil se mere sazish ki hai
zindagi qarz samajh kar main jiye jata hun
ab tamanna na sile ki na sataish ki hai
hain bahut ahl-e-karam yun to zamin par 'athar'
baat kuchh aur magar us ki nawazish ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.