kam kisi taur na hogi ye girani sar se
kam kisī taur na hogī ye girānī sar se
ab nahīñ jā.egā āzār-e-nihānī sar se
kyoñ ubhartā hī nahīñ jazba-e-iḳhlās-o-vafā
kyoñ nikaltī hī nahīñ resha-davānī sar se
abhī TuuTī hī kahāñ āhanī dīvār-e-rusūm
abhī niklā hī kahāñ josh-e-javānī sar se
merī ġhairat kā taqāzā hai ki imdād na luuñ
ūñchā hotā hai to hotā rahe paanī sar se
ho chukā 'ahd-e-vafā ḳhatm hamārā kab kā
ab to vallāh nikālo ye kahānī sar se
ham ne girne na diyā parcham-e-anvār-e-ḳhudī
jab talak jaarī rahī ḳhuuñ kī ravānī sar se
jab bhī hotā hai suḳhan-goī pe maa.il 'gauhar'
ḳhud chhalak paḌte haiñ alfāz-o-ma'ānī sar se
kam kisi taur na hogi ye girani sar se
ab nahin jaega aazar-e-nihani sar se
kyon ubharta hi nahin jazba-e-iKHlas-o-wafa
kyon nikalti hi nahin resha-dawani sar se
abhi TuTi hi kahan aahani diwar-e-rusum
abhi nikla hi kahan josh-e-jawani sar se
meri ghairat ka taqaza hai ki imdad na lun
uncha hota hai to hota rahe pani sar se
ho chuka 'ahd-e-wafa KHatm hamara kab ka
ab to wallah nikalo ye kahani sar se
hum ne girne na diya parcham-e-anwar-e-KHudi
jab talak jari rahi KHun ki rawani sar se
jab bhi hota hai suKHan-goi pe mail 'gauhar'
KHud chhalak paDte hain alfaz-o-ma'ani sar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.