kam kiya humne apni zat pe ghaur
kam kiyā ham ne apnī zaat pe ġhaur
ham to karte haiñ kā.enāt pe ġhaur
tum ne maane haiñ hukm ġhairoñ ke
kab kiyā hai hamārī baat pe ġhaur
mas.ale hal na ho sake apne
kar chuke haiñ muzākarāt pe ġhaur
baat hotī hai jab mohabbat kī
karnā paḌtā hai dil kī baat pe ġhaur
jab bhī milne kī baat kartā huuñ
karne lagte haiñ merī baat pe ġhaur
hādisa phir na pesh aatā hameñ
ye muhāfiz jo karte ghaat pe ġhaur
kam kiya hum ne apni zat pe ghaur
hum to karte hain kaenat pe ghaur
tum ne mane hain hukm ghairon ke
kab kiya hai hamari baat pe ghaur
masale hal na ho sake apne
kar chuke hain muzakaraat pe ghaur
baat hoti hai jab mohabbat ki
karna paDta hai dil ki baat pe ghaur
jab bhi milne ki baat karta hun
karne lagte hain meri baat pe ghaur
hadisa phir na pesh aata hamein
ye muhafiz jo karte ghat pe ghaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.