kam mayassar ho jo hoti hai usi ki qimat
kam mayassar ho jo hotī hai usī kī qīmat
kasrat-e-ġham ne baḌhā.ī hai ḳhushī kī qīmat
pairvī-e-dil-e-nādāñ kā salīqa hai jinheñ
un se pūchhe koī be-rāh-ravī kī qīmat
tum ne hañste mujhe dekhā hai tumheñ kyā mālūm
karnī paḌtī hai adā kitnī hañsī kī qīmat
ehtirām apnā hī ḳhud jis kī nigāhoñ meñ na ho
kyā bhalā us kī nigāhoñ meñ kisī kī qīmat
mujh se dhokā to huā dil ko magar mauj-e-sarāb
mil ga.ī mujh ko mirī tishna-labī kī qīmat
mere siine meñ chhupe zaḳhm batā.eñge 'ra.īs'
maiñ ne jo kī hai adā zinda-dilī kī qīmat
kam mayassar ho jo hoti hai usi ki qimat
kasrat-e-gham ne baDhai hai KHushi ki qimat
pairwi-e-dil-e-nadan ka saliqa hai jinhen
un se puchhe koi be-rah-rawi ki qimat
tum ne hanste mujhe dekha hai tumhein kya malum
karni paDti hai ada kitni hansi ki qimat
ehtiram apna hi KHud jis ki nigahon mein na ho
kya bhala us ki nigahon mein kisi ki qimat
mujh se dhoka to hua dil ko magar mauj-e-sarab
mil gai mujh ko meri tishna-labi ki qimat
mere sine mein chhupe zaKHm bataenge 'rais'
main ne jo ki hai ada zinda-dili ki qimat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.